milan ki raat
ai doshīza! mat ghabrā
ab sūraj Dūbne vaalā hai
sūraj Duub ke ek añdherī kaalī raat ko lā.egā
lākhoñ an-honī bātoñ kā mela dhyān meñ lā.egā
phir bādal ghir kar ā.eñge
garaj garaj kar chamak chamak kar terā jī dahlā.eñge
barkhā ke us sannāTe meñ mukuT sajā.e
ik matvālā aa.egā
saath tujhe le jā.egā
ai doshiza! mat ghabra
ab suraj Dubne wala hai
suraj Dub ke ek andheri kali raat ko laega
lakhon an-honi baaton ka mela dhyan mein laega
phir baadal ghir kar aaenge
garaj garaj kar chamak chamak kar tera ji dahlaenge
barkha ke us sannaTe mein mukuT sajae
ek matwala aaega
sath tujhe le jaega
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.