mera jazba-e-shauq kaam aa raha hai
mirā jazba-e-shauq kaam aa rahā hai
ki bāzār meñ dekhūñ aam aa rahā hai
ġharīb-o-amīr us ke shaidā.ī yaksāñ
pasandīda-e-ḳhās-o-ām aa rahā hai
kisī muqtadī ko ḳhrīdūñ maiñ kyūñkar
ki jab ḳhud phaloñ kā imaam aa rahā hai
sab hāthoñ ko phailā.eñ āñkheñ bichhā.eñ
phaloñ meñ vo aalī maqām aa rahā hai
vo chausā sarolī vo sindhḌī vo fazlī
vo aamoñ kā ik azhdahām aa rahā hai
hai lañgDā pa lañgḌāte lañgḌāte dekho
vo mahbūb-e-man ḳhush-ḳhirām aa rahā hai
mujhe hai ḳhushī jo haiñ dīvāne us ke
'asar' un meñ merā bhī naam aa rahā hai
mera jazba-e-shauq kaam aa raha hai
ki bazar mein dekhun aam aa raha hai
gharib-o-amir us ke shaidai yaksan
pasandida-e-KHas-o-am aa raha hai
kisi muqtadi ko KHridun main kyunkar
ki jab KHud phalon ka imam aa raha hai
sab hathon ko phailaen aankhen bichhaen
phalon mein wo aali maqam aa raha hai
wo chausa saroli wo sindhDi wo fazli
wo aamon ka ek azhdaham aa raha hai
hai langDa pa langDate langDate dekho
wo mahbub-e-man KHush-KHiram aa raha hai
mujhe hai KHushi jo hain diwane us ke
'asar' un mein mera bhi nam aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.