mera zehn mujhko raha kare
mirā zehn dil kā rafīq hai
mirā dil rafīq hai jism kā
mirā jism hai mirī aañkh meñ
mirī aañkh us ke badan meñ hai
vo badan ki bosa-e-ātishīñ meñ jalā bhī phir bhī harā rahā
vo badan ki lams kī bārishoñ meñ dhulā bhī phir bhī nayā rahā
vo badan kī vasl ke fāsle pe rahā bhī phir bhī mirā rahā
mujhe e'tirāf! mire vajūd pe ek charāġh kā ek ḳhvāb kā ek umiid kā qarz hai
mujhe e'tirāf! ki mere nāḳhun-e-be-hunar pe hazār tarah ke qarz haiñ
mirā zehn mujh ko rihā kare to maiñ saare qarz utaar duuñ
mirī aañkh mujh se vafā kare to maiñ jism o jaan pe vaar duuñ
mera zehn dil ka rafiq hai
mera dil rafiq hai jism ka
mera jism hai meri aankh mein
meri aankh us ke badan mein hai
wo badan ki bosa-e-atishin mein jala bhi phir bhi hara raha
wo badan ki lams ki barishon mein dhula bhi phir bhi naya raha
wo badan ki wasl ke fasle pe raha bhi phir bhi mera raha
mujhe e'tiraf! mere wajud pe ek charagh ka ek KHwab ka ek umid ka qarz hai
mujhe e'tiraf! ki mere naKHun-e-be-hunar pe hazar tarah ke qarz hain
mera zehn mujh ko riha kare to main sare qarz utar dun
meri aankh mujh se wafa kare to main jism o jaan pe war dun
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.