mere azizo
hayāt sukh hai
ki maut kuchh fāsle pe
raste ko kāTne ke liye khaḌī hai
ye maut sukh hai
ki iḳhtisār-e-hayāt hī vaj.h-e-dil-kashī hai
jahān-e-zer-o-zabar ke jhagḌoñ se
māvarā ho ke dekh lenā
tamām sukh hai
ye ḳhvāhishoñ kā hasīr kuchh der ko lapeTo
fareb-e-sūd-o-ziyāñ se kuchh der
ḳhud ko tafrīq kar ke socho
jahāñ kī saarī ikā.īyoñ ko shumār kar lo
tamām sukh hai
yaqīn rakkho
tamām sukh hai
hayat sukh hai
ki maut kuchh fasle pe
raste ko kaTne ke liye khaDi hai
ye maut sukh hai
ki iKHtisar-e-hayat hi wajh-e-dil-kashi hai
jahan-e-zer-o-zabar ke jhagDon se
mawara ho ke dekh lena
tamam sukh hai
ye KHwahishon ka hasir kuchh der ko lapeTo
fareb-e-sud-o-ziyan se kuchh der
KHud ko tafriq kar ke socho
jahan ki sari ikaiyon ko shumar kar lo
tamam sukh hai
yaqin rakkho
tamam sukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.