mere bachche jawan ho gae hain
jo merī god meñ pal kar javān ho ga.e haiñ
mire safīne ke ab bādbān ho ga.e haiñ
vo jin pe niil ubharte the haath lagte hī
vo phuul jaise badan ab chaTTān ho ga.e haiñ
vo jin ko sīñchā thā maiñ ne ab un ke saa.e meñ huuñ
ki ab vo nanhe shajar sā.ebān ho ga.e haiñ
vo dekh-bhāl meñ jin kī guzar ga.ī mirī umr
ḳhudā kā shukr mire pāsbān ho ga.e haiñ
jo chand phuul mahakte the mere āñgan meñ
ḳhushā nasīb vo ḳhud gulistāñ ho ga.e haiñ
nahīñ jhuke hue shānoñ kā ab mujhe koī ġham
ḳhudā rakhe mire bachche javān ho ga.e haiñ
na paḌnā apne parā.e meñ tum mire bachcho
tabāh is se bahut ḳhāndān ho ga.e haiñ
vo jin kī fikr meñ rahtī thī maiñ 'vafā' bechain
ġham-o-ḳhushī ke mire tarjumān ho ga.e haiñ
jo meri god mein pal kar jawan ho gae hain
mere safine ke ab baadban ho gae hain
wo jin pe nil ubharte the hath lagte hi
wo phul jaise badan ab chaTTan ho gae hain
wo jin ko sincha tha main ne ab un ke sae mein hun
ki ab wo nanhe shajar saeban ho gae hain
wo dekh-bhaal mein jin ki guzar gai meri umr
KHuda ka shukr mere pasban ho gae hain
jo chand phul mahakte the mere aangan mein
KHusha nasib wo KHud gulistan ho gae hain
nahin jhuke hue shanon ka ab mujhe koi gham
KHuda rakhe mere bachche jawan ho gae hain
na paDna apne parae mein tum mere bachcho
tabah is se bahut KHandan ho gae hain
wo jin ki fikr mein rahti thi main 'wafa' bechain
gham-o-KHushi ke mere tarjuman ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.