mere KHwab
mire ḳhvāb ashkoñ meñ tahlīl ho kar kahīñ kho ga.e haiñ
ḳhayāl aa rahā hai
ki shāyad mirī ruuh ke nīm-tārīk se jangaloñ meñ bhaTakne lage haiñ
ka.ī din se un tak
mirī soch mere tasavvur kī koī rasā.ī nahīñ hai
magar jāntī huuñ ki vo dhīre dhīre mire hī lahū meñ sisakne lage haiñ
ka.ī din se maiñ ne unheñ koī lorī sunā.ī nahīñ hai
so ab ye kisī nanhe bachche kī sūrat bilakne lage haiñ
maiñ ab sochtī huuñ
ki un ke liye
apnī āñkhoñ se bāhar nikalne kī maiñ koī tadbīr kartī
tajraboñ ke raushan safar par unheñ saath le kar to jaatī
maiñ ik baar to un kī tauqīr kartī
maiñ ab sochtī huuñ
ki ik ḳhūbsūrat sā chehra banā kar
unheñ apne kamre kī bosīda dīvār par hī sajātī
mohabbat ke bikhre hue saare rangoñ ko tasvīr kartī
magar ab mire ḳhvāb gahrī baġhāvat ke nashshe meñ haiñ vo bahakne lage haiñ
so ab ye huā hai
ki maiñ ne uThā kar unheñ ghar kī dahlīz par rakh diyā hai
ki shāyad koī ik shanāsā musāfir idhar aan nikle
zarā der Thahre zarā muskurā.e
mire ḳhvāb kī kirchiyoñ ko sameTe
aur apnī umangoñ se bharpūr āñkheñ yahīñ chhoḌ jaa.e
mere KHwab ashkon mein tahlil ho kar kahin kho gae hain
KHayal aa raha hai
ki shayad meri ruh ke nim-tarik se jangalon mein bhaTakne lage hain
kai din se un tak
meri soch mere tasawwur ki koi rasai nahin hai
magar jaanti hun ki wo dhire dhire mere hi lahu mein sisakne lage hain
kai din se main ne unhen koi lori sunai nahin hai
so ab ye kisi nanhe bachche ki surat bilakne lage hain
main ab sochti hun
ki un ke liye
apni aankhon se bahar nikalne ki main koi tadbir karti
tajrabon ke raushan safar par unhen sath le kar to jati
main ek bar to un ki tauqir karti
main ab sochti hun
ki ek KHubsurat sa chehra bana kar
unhen apne kamre ki bosida diwar par hi sajati
mohabbat ke bikhre hue sare rangon ko taswir karti
magar ab mere KHwab gahri baghawat ke nashshe mein hain wo bahakne lage hain
so ab ye hua hai
ki main ne uTha kar unhen ghar ki dahliz par rakh diya hai
ki shayad koi ek shanasa musafir idhar aan nikle
zara der Thahre zara muskurae
mere KHwab ki kirchiyon ko sameTe
aur apni umangon se bharpur aankhen yahin chhoD jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.