mere KHwab so ja
mire ḳhvāb so jā
mirī aañkh meñ tairtī ḳhānqāhoñ meñ
ab saañs lete hue saare darvesh
miTTī kī ḳhushbū ko tarse hue haiñ
mujhe tū ne jitne zamānoñ kī dhūpoñ se dhoyā hai ab tak
vo nafrat adāvat se gūñdhī huī haiñ
jo sadiyoñ ke chehre dikhā.e haiñ tū ne
vo sab khurdure haiñ
mirī nīndeñ un se udhaḌne lagī haiñ
mire ḳhvāb so jā ki tū ne
mire ashk noche
aur un kī sadāoñ ko bhī ḳhuub rauñdā
maiñ ab tere ġhāroñ se bāhar
na jhāñkūñ to merī
na.ī nasl andhe kuñ.eñ meñ giregī
mire ḳhvāb so jā mujhe jāgne de
ki ab maiñ tirī silvaToñ meñ
ghuTan kā safar tai karūñgā to mar jā.uñgā
mere KHwab so ja
meri aankh mein tairti KHanqahon mein
ab sans lete hue sare darwesh
miTTi ki KHushbu ko tarse hue hain
mujhe tu ne jitne zamanon ki dhupon se dhoya hai ab tak
wo nafrat adawat se gundhi hui hain
jo sadiyon ke chehre dikhae hain tu ne
wo sab khurdure hain
meri ninden un se udhaDne lagi hain
mere KHwab so ja ki tu ne
mere ashk noche
aur un ki sadaon ko bhi KHub raunda
main ab tere ghaaron se bahar
na jhankun to meri
nai nasl andhe kunen mein giregi
mere KHwab so ja mujhe jagne de
ki ab main teri silwaTon mein
ghuTan ka safar tai karunga to mar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.