mere par na bandho
paroñ ko mire tum na resham kī Dorī se bāñdho
na kaaTo inheñ tum
ki mujh ko bhī uḌne do ūñchī uḌaan
maiñ titlī huuñ aisī
ki jis ke paroñ se
chamaktī jhamaktī haiñ
rañgoñ kī maujeñ
ye maujeñ mirī raah kī mish.aleñ ban ga.ī haiñ
miTā.eñgī jo terī merī tiira shaboñ kī
dhundalke miTā.eñgī sub.hoñ ke merī
paroñ ko mire tum na resham kī Dorī se bāñdho
na kaaTo inheñ tum
ki un hī sunahrī paroñ ke sahāre
mujhe paar karnā hai is rā.egāñ dasht ko
aur ḳhayāloñ ke aise jazīre meñ jaanā hai
jis tak kisī kī rasā.ī bhī mumkin nahīñ hai
mire vāste jo hamesha se nādīdanī hai
magar maiñ ne baḳhshe haiñ us ko ḳhayāloñ ke rañgīn paikar
utarnā hai us des meñ
jis ke phūloñ kī ḳhushbū
mirī muntazir hai
rañgoñ ke paikar mire muntazir haiñ
mujhe DhūñDte haiñ
vahāñ andalīboñ ke naġhme
usī des meñ
kitnī nau-ḳhez kaliyoñ ke rañgīñ-badan meñ machaltī huī
kitnī muñh-zor ḳhushbueñ
band-e-qabā toḌne ko haiñ bechain
sab isti.āre mire vāste haiñ na.ī zindagī ke
bulāte haiñ mujh ko
paroñ ko mire tum na resham kī Dorī se bāñdho
na kaaTo inheñ tum
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
ki mujh ko bhi uDne do unchi uDan
main titli hun aisi
ki jis ke paron se
chamakti jhamakti hain
rangon ki maujen
ye maujen meri rah ki mishalen ban gai hain
miTaengi jo teri meri tera shabon ki
dhundalke miTaengi subhon ke meri
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
ki un hi sunahri paron ke sahaare
mujhe par karna hai is raegan dasht ko
aur KHayalon ke aise jazire mein jaana hai
jis tak kisi ki rasai bhi mumkin nahin hai
mere waste jo hamesha se nadidani hai
magar main ne baKHshe hain us ko KHayalon ke rangin paikar
utarna hai us des mein
jis ke phulon ki KHushbu
meri muntazir hai
rangon ke paikar mere muntazir hain
mujhe DhunDte hain
wahan andalibon ke naghme
usi des mein
kitni nau-KHez kaliyon ke rangin-badan mein machalti hui
kitni munh-zor KHushbuen
band-e-qaba toDne ko hain bechain
sab istiare mere waste hain nai zindagi ke
bulate hain mujh ko
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
- Book : Pakistani Adab (Pg. 194)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.