mere watan ki chand sar-zamin
ba-har qadam manāzir-e-hasīñ
sunahrī sub.h shaam surmagīñ
ye ḳhāk-e-zar ye āb-e-ātashīñ
jhukī hai ehtirām se jabīñ
mire vatan kī chāñd sar-zamīñ
ba iiñ mizāj-e-āb-o-gil avaam
pahāḌ jaise mustaqil avaam
karoḌoñ jism ek dil avaam
batā.iye nazar meñ haiñ kahīñ
mire vatan kī chāñd sar-zamīñ
zamāne bhar ko amn kā payām
pilā rahī hai shāñtī ke jaam
bulandiyoñ kī samt tez-gām
magar kisī se dushmanī nahīñ
mire vatan kī chāñd sar-zamīñ
sipāh ek Toliyāñ ka.ī
mahal vahī rañgoliyāñ ka.ī
payām ek boliyāñ ka.ī
misāl is kī dūsrī nahīñ
mire vatan kī chāñd sar-zamīñ
ba-har qadam manazir-e-hasin
sunahri subh sham surmagin
ye KHak-e-zar ye aab-e-atashin
jhuki hai ehtiram se jabin
mere watan ki chand sar-zamin
ba in mizaj-e-ab-o-gil awam
pahaD jaise mustaqil awam
karoDon jism ek dil awam
bataiye nazar mein hain kahin
mere watan ki chand sar-zamin
zamane bhar ko amn ka payam
pila rahi hai shanti ke jam
bulandiyon ki samt tez-gam
magar kisi se dushmani nahin
mere watan ki chand sar-zamin
sipah ek Toliyan kai
mahal wahi rangoliyan kai
payam ek boliyan kai
misal is ki dusri nahin
mere watan ki chand sar-zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.