meri aankhen
tumhārī diid kī ḳhvāhish liye
jab bhī tumhārī jhiil āñkhoñ tak pahuñchtī haiñ
vahāñ pahle se hī ik aañkh ya.anī tīsrī
maujūd hotī hai
ye sun rakkhā thā maiñ ne
roz-marra kī misāloñ meñ
ki andhoñ meñ jo kaanā ho
isī kā raaj chaltā hai
magar andar hī andar har koī vāqif hai
bhītar jo kahānī hai
yahāñ kaanā to biinā shaḳhs par bhī raaj kartā hai
ye kaanā kyā koī dajjāl hai
tum jis se Dar kar
mujh se pahle us ko
apnā aap achchhe se dikhātī hai
tum apnī diid kā pahlā nivāla us ko detī ho
mujhe jhūTā khilātī ho
nahīñ khānā mujhe dajjāl kā jhūTā
ye maiñ us se nahīñ
bas dil hī dil meñ ḳhud se kahtā huuñ
use ma.alūm hī kab hai
ki ye jo tīsrī hai
us ke retina kā pichhlā dar jahāñ khultā hai
vo dīvār duniyā ko nikaltī hai
merī bardāsht sah jaa.e
agar bas ek hī dajjāl tum ko dekh saktā ho
yahāñ lekin tumhārā sab kā sab
duniyā meñ jitne haiñ
vo sab ke sab
maiñ ye sab sah nahīñ saktā
tumheñ dekhe binā bhī rah nahīñ saktā
mujhe b pī kā koī mas.ala pahle nahīñ thā
haañ magar ab ḳhuun merā kholtā hai
jab kabhī gaaḌī chalāte vaqt koī board aa jaa.e
jahāñ likhā huā ho speed kam rakkheñ
yahāñ se kuchh qadam aage saḌak par
camere kī aañkh tum ko dekhtī hai
tumhaari did ki KHwahish liye
jab bhi tumhaari jhil aankhon tak pahunchti hain
wahan pahle se hi ek aankh yani tisri
maujud hoti hai
ye sun rakkha tha main ne
roz-marra ki misalon mein
ki andhon mein jo kana ho
isi ka raj chalta hai
magar andar hi andar har koi waqif hai
bhitar jo kahani hai
yahan kana to bina shaKHs par bhi raj karta hai
ye kana kya koi dajjal hai
tum jis se Dar kar
mujh se pahle us ko
apna aap achchhe se dikhati hai
tum apni did ka pahla niwala us ko deti ho
mujhe jhuTa khilati ho
nahin khana mujhe dajjal ka jhuTa
ye main us se nahin
bas dil hi dil mein KHud se kahta hun
use malum hi kab hai
ki ye jo tisri hai
us ke retina ka pichhla dar jahan khulta hai
wo diwar duniya ko nikalti hai
meri bardasht sah jae
agar bas ek hi dajjal tum ko dekh sakta ho
yahan lekin tumhaara sab ka sab
duniya mein jitne hain
wo sab ke sab
main ye sab sah nahin sakta
tumhein dekhe bina bhi rah nahin sakta
mujhe b pi ka koi masala pahle nahin tha
han magar ab KHun mera kholta hai
jab kabhi gaDi chalate waqt koi board aa jae
jahan likha hua ho speed kam rakkhen
yahan se kuchh qadam aage saDak par
camere ki aankh tum ko dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.