meri hijraton ki zamin par teri chahaton se likha hua
tirā ek ḳhat mire paas hai vo mohabbatoñ se likhā huā
thī vo fāsloñ kī tapish ajab mire hausle bhī pighal ga.e
jahāñ soz-e-hijr kā zikr hai vahīñ koī aañsū girā huā
vahī ek tishna sī aarzū kabhī qarz jis kā adā na ho
pas-e-harf shikve hazār huuñ sar-e-lafz koī gila na ho
tirī aarzū tirī ḳhvāhishoñ kā koī hisāb na likh sakā
maiñ sarāpā ḳhud hī savāl thā so koī javāb na likh sakā
koī aisā ḳhat mujhe bhej phir
jo samajh sake mire rat-jagoñ kī zabān ko
mirī laġhzishoñ kī takān ko
mirī bebasī ke bayān ko
tujhe kyā pata tujhe kyā ḳhabar
mire ham-safar
kabhī raushnā.ī meñ Dhal gayā kabhī bah gayā mirī aañkh se
vahī ek dard jise kabhī mire lab bayān na kar sake
tera ek KHat mere pas hai wo mohabbaton se likha hua
thi wo faslon ki tapish ajab mere hausle bhi pighal gae
jahan soz-e-hijr ka zikr hai wahin koi aansu gira hua
wahi ek tishna si aarzu kabhi qarz jis ka ada na ho
pas-e-harf shikwe hazar hun sar-e-lafz koi gila na ho
teri aarzu teri KHwahishon ka koi hisab na likh saka
main sarapa KHud hi sawal tha so koi jawab na likh saka
koi aisa KHat mujhe bhej phir
jo samajh sake mere rat-jagon ki zaban ko
meri laghzishon ki takan ko
meri bebasi ke bayan ko
tujhe kya pata tujhe kya KHabar
mere ham-safar
kabhi raushnai mein Dhal gaya kabhi bah gaya meri aankh se
wahi ek dard jise kabhi mere lab bayan na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.