meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujhko
mirī jaañ ab bhī apnā husn vāpas pher de mujh ko
abhī tak dil meñ tere ishq kī qindīl raushan hai
tire jalvoñ se bazm-e-zindagī jannat-ba-dāman hai
mirī ruuh ab bhī tanhā.ī meñ tujh ko yaad kartī hai
har ik tār-e-nafas meñ aarzū bedār hai ab bhī
har ik be-rañg saa.at muntazir hai terī aamad kī
nigāheñ bichh rahī haiñ rāsta zar-kār hai ab bhī
magar jān-e-hazīñ sadme sahegī āḳhirash kab tak
tirī be-mehriyoñ par jaan degī āḳhirash kab tak
tirī āvāz meñ soī huī shīrīniyāñ āḳhir
mire dil kī fasurda ḳhalvatoñ meñ jā na pā.eñgī
ye ashkoñ kī farāvānī se dhundlā.ī huī āñkheñ
tirī rānā.iyoñ kī tamkanat ko bhuul jā.eñgī
pukāreñge tujhe to lab koī lazzat na pā.eñge
gulū meñ terī ulfat ke tarāne suukh jā.eñge
mabādā yād-hā-e-ahd-e-māzī mahv ho jaa.eñ
ye pārīna fasāne mauj-hā-e-ġham meñ kho jaa.eñ
mire dil kī tahoñ se terī sūrat dhul ke bah jaa.e
harīm-e-ishq kī sham-e-daraḳhshāñ bujh ke rah jaa.e
mabādā ajnabī duniyā kī zulmat gher le tujh ko
mirī jaañ ab bhī apnā husn vāpas pher de mujh ko
meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko
abhi tak dil mein tere ishq ki qindil raushan hai
tere jalwon se bazm-e-zindagi jannat-ba-daman hai
meri ruh ab bhi tanhai mein tujh ko yaad karti hai
har ek tar-e-nafas mein aarzu bedar hai ab bhi
har ek be-rang saat muntazir hai teri aamad ki
nigahen bichh rahi hain rasta zar-kar hai ab bhi
magar jaan-e-hazin sadme sahegi aaKHirash kab tak
teri be-mehriyon par jaan degi aaKHirash kab tak
teri aawaz mein soi hui shiriniyan aaKHir
mere dil ki fasurda KHalwaton mein ja na paengi
ye ashkon ki farawani se dhundlai hui aankhen
teri ranaiyon ki tamkanat ko bhul jaengi
pukarenge tujhe to lab koi lazzat na paenge
gulu mein teri ulfat ke tarane sukh jaenge
mabaada yaad-ha-e-ahd-e-mazi mahw ho jaen
ye parina fasane mauj-ha-e-gham mein kho jaen
mere dil ki tahon se teri surat dhul ke bah jae
harim-e-ishq ki sham-e-daraKHshan bujh ke rah jae
mabaada ajnabi duniya ki zulmat gher le tujh ko
meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.