ghar ai dil-e-be-qarār zindāñ se kam nahīñ qaid kaun kaaTe
hasīn sarmā kā chāñd dīvāna-vār ko bulā rahā hai
fusūn-e-mahtāb kī qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakūñgā
phir aaj ghar meñ na rah sakūñgā
ki ik junūñ sā hai mujh pe taarī
manāzir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munavvar manā rahe haiñ
bulā rahe haiñ mujhe mire vāste qayāmat uThā rahe haiñ
ġhazab kī us barf-basta ThanDī havā meñ sailāb chāñdnī kā
badan to hai munjamid ragoñ meñ lahū magar tamtamā rahā hai
balā kī hai sard raat lekin maiñ aaj āvārgī karūñgā
ki chāñd vaadī ke zarre zarre ko jalva-ḳhana banā rahā hai
na ruk sakūñgā maiñ aaj ghar meñ
ki chāñdnī kī kashish ġhazab hai
safīna-e-shauq-o-sher duniyā-e-nūr meñ Dagmagā rahā hai
sukūt-e-shab meñ fazā bhī juzv-e-sukūt-e-shab ho ga.ī hai 'fitrat'
mah-e-daraḳhshāñ faqat ġhazal merī zer-e-lab gungunā rahā hai
maiñ aaj ghar par na ruk sakūñgā
hasīn sarmā kā chāñd ishāroñ se dekh mujh ko bulā rahā hai
ghar ai dil-e-be-qarar zindan se kam nahin qaid kaun kaTe
hasin sarma ka chand diwana-war ko bula raha hai
fusun-e-mahtab ki qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakunga
phir aaj ghar mein na rah sakunga
ki ek junun sa hai mujh pe tari
manazir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munawwar mana rahe hain
bula rahe hain mujhe mere waste qayamat uTha rahe hain
ghazab ki us barf-basta ThanDi hawa mein sailab chandni ka
badan to hai munjamid ragon mein lahu magar tamtama raha hai
bala ki hai sard raat lekin main aaj aawargi karunga
ki chand wadi ke zarre zarre ko jalwa-KHana bana raha hai
na ruk sakunga main aaj ghar mein
ki chandni ki kashish ghazab hai
safina-e-shauq-o-sher duniya-e-nur mein Dagmaga raha hai
sukut-e-shab mein faza bhi juzw-e-sukut-e-shab ho gai hai 'fitrat'
mah-e-daraKHshan faqat ghazal meri zer-e-lab gunguna raha hai
main aaj ghar par na ruk sakunga
hasin sarma ka chand ishaaron se dekh mujh ko bula raha hai
Source :
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-255 p-243)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
-
Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore
(1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.