meri pyari amman
na kuchh mujh meñ tāqat thī jis aan ammāñ
na achchhe bure kī thī pahchān ammāñ
tumhīñ sab tarah thiiñ nigahbān ammāñ
tumhīñ ko thā har dam mirā dhyān ammāñ
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
mujhe pyaar se duudh tum ne pilāyā
thapak kar mohabbat se tum ne sulāyā
bahut din mujhe godiyoñ meñ phirāyā
mujhe sukh diyā aap hai dukh uThāyā
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
kabhī apnī godī meñ mujh ko liTānā
kabhī mīThī bātoñ se mujh ko hañsānā
kabhī pyaar karnā gale se lagānā
na bhūlūñgā maiñ umr bhar vo zamāna
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
jo dukh se kabhī niiñd mujh ko na aa.ī
to is fikr meñ raat tum ne gañvā.ī
kabhī kuchh davā.ī khilā.ī pilā.ī
kabhī koī mīThī sī lorī sunā.ī
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
tumhīñ ne hai achchhā tarīqa sikhāyā
tumhīñ ne hai rasta ḳhudā kā batāyā
tumhīñ ne gunāhoñ se mujh ko bachāyā
tumhīñ ne mujhe aadmī hai banāyā
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
bahut kī mire saath tum ne mohabbat
uThā.ī mire vāste saḳht mehnat
agar de ḳhudā mujh ko umr aur daulat
tumhārī bajā lā.ūñ har tarah ḳhidmat
mirī pyārī ammāñ mirī jaan ammāñ
na kuchh mujh mein taqat thi jis aan amman
na achchhe bure ki thi pahchan amman
tumhin sab tarah thin nigahban amman
tumhin ko tha har dam mera dhyan amman
meri pyari amman meri jaan amman
mujhe pyar se dudh tum ne pilaya
thapak kar mohabbat se tum ne sulaya
bahut din mujhe godiyon mein phiraya
mujhe sukh diya aap hai dukh uThaya
meri pyari amman meri jaan amman
kabhi apni godi mein mujh ko liTana
kabhi miThi baaton se mujh ko hansana
kabhi pyar karna gale se lagana
na bhulunga main umr bhar wo zamana
meri pyari amman meri jaan amman
jo dukh se kabhi nind mujh ko na aai
to is fikr mein raat tum ne ganwai
kabhi kuchh dawai khilai pilai
kabhi koi miThi si lori sunai
meri pyari amman meri jaan amman
tumhin ne hai achchha tariqa sikhaya
tumhin ne hai rasta KHuda ka bataya
tumhin ne gunahon se mujh ko bachaya
tumhin ne mujhe aadmi hai banaya
meri pyari amman meri jaan amman
bahut ki mere sath tum ne mohabbat
uThai mere waste saKHt mehnat
agar de KHuda mujh ko umr aur daulat
tumhaari baja laun har tarah KHidmat
meri pyari amman meri jaan amman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.