meri udasi ka zard mausam
mirī udāsī kā zard mausam
agar kisī din
mirī bujhī aañkh ke kināre
bhigo bhigo kar
anā ke pātāl kī kisī tah meñ
ek pal ko Thahar gayā to
mujhe yaqīñ hai
ki TūTte dil meñ ḳhvāhishoñ kā
koī chhanākā
mirā badan bhī na sun le
meri udasi ka zard mausam
agar kisi din
meri bujhi aankh ke kinare
bhigo bhigo kar
ana ke patal ki kisi tah mein
ek pal ko Thahar gaya to
mujhe yaqin hai
ki TuTte dil mein KHwahishon ka
koi chhanaka
mera badan bhi na sun le
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 1145)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.