meri yaad tumko bhi aati to hogi
mirī yaad tum ko bhī aatī to hogī
guzishtā mohabbat satātī to hogī
adhūrī mohabbat kī bisrī kahānī
kabhī dil ke hāthoñ rulātī to hogī
na jaane kahāñ ham na jaane kahāñ tum
ye bichhḌoñ ko qismat milātī to hogī
kahīñ bhuul se mil na jaa.eñ ḳhudāyā
mirī tarah tum bhī manātī to hogī
bas itnā batā do ki ḳhush ho jahāñ ho
nazar aa.ine meñ milātī to hogī
zamāne kī tarah na shāyad hañso tum
mire naam par muskurātī to hogī
na tum jiit pā.īñ na ham jiit paa.e
ye sahrā-nazar DabDabātī to hogī
ajab hai ye rishta hamārā tumhārā
hañsī sī zamāne pe aatī to hogī
ḳhalish sī jigar meñ jagātī to hogī
mirī yaad tum ko bhī aatī to hogī
meri yaad tum ko bhi aati to hogi
guzishta mohabbat satati to hogi
adhuri mohabbat ki bisri kahani
kabhi dil ke hathon rulati to hogi
na jaane kahan hum na jaane kahan tum
ye bichhDon ko qismat milati to hogi
kahin bhul se mil na jaen KHudaya
meri tarah tum bhi manati to hogi
bas itna bata do ki KHush ho jahan ho
nazar aaine mein milati to hogi
zamane ki tarah na shayad hanso tum
mere nam par muskuraati to hogi
na tum jit pain na hum jit pae
ye sahra-nazar DabDabaati to hogi
ajab hai ye rishta hamara tumhaara
hansi si zamane pe aati to hogi
KHalish si jigar mein jagati to hogi
meri yaad tum ko bhi aati to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.