mirza-ghaalib
añdherī raat meñ jab muskurā uThte haiñ sayyāre
tarannum phuuT paḌtā hai mire sāz-e-rag-e-jāñ se
koī añgḌā.iyāñ letā jab aa jaatā hai mahfil meñ
tamannā karvaTeñ letī hai paiham dukh-bhare dil meñ
nigāheñ bāda-e-ruḳh se ḳhumār-āmez hotī haiñ
sharābī kī tarah jab jhūmtī haiñ ishq kī nabzeñ
koī 'tagore' ke jab mīThe mīThe giit gaatā hai
moallim go.eTe kā falsafa jis dam sunātā hai
tire ash.ār paḌhtā huuñ tire naġhmāt gaatā huuñ
kamāl-e-kaif-o-fart-e-be-ḳhudī meñ jhuum jaatā huuñ
andheri raat mein jab muskura uThte hain sayyare
tarannum phuT paDta hai mere saz-e-rag-e-jaan se
koi angDaiyan leta jab aa jata hai mahfil mein
tamanna karwaTen leti hai paiham dukh-bhare dil mein
nigahen baada-e-ruKH se KHumar-amez hoti hain
sharabi ki tarah jab jhumti hain ishq ki nabzen
koi 'tagore' ke jab miThe miThe git gata hai
moallim goeTe ka falsafa jis dam sunata hai
tere ashaar paDhta hun tere naghmat gata hun
kamal-e-kaif-o-fart-e-be-KHudi mein jhum jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.