miTTi ka idrak
vasī' āsmān meñ uḌā
magar na ruk sakā
na chhū sakā kisī ko maiñ
na koī mujh ko chhū sakā
uḌā magar havās kā asiir jism
mubtalā-e-qaid-e-intihā huā
duur tak fazā fazā huī
duur tak ḳhalā ḳhalā huā
to yuuñ maiñ ḳhushbūoñ kī qaid se rihā huā
ik 'umr tak buland-qāmatoñ ke sar pe nāchtā rahā
zamīñ kā raqs ruk gayā
phir ek din zamīn āftāb se milī
jale bhune se log ruk ga.e
sabhī mire qadam pe jhuk ga.e
magar maiñ apne qad ke nāpne kī fikr meñ ghulā kiyā
tamām shīshe chūr-chūr
samundaroñ kī sat.h bhī nazar na aa.ī dūr-dūr
vasī' āsmān meñ uḌaan bhar ke thak gayā thā phir zamīn par rukā
maiñ miTTiyoñ ke jism kā asiir thā
maiñ miTTiyoñ ke jism kā asiir huuñ
thake qadam kā bojh kaun sah sakegā
soñdhī ḳhushbūoñ ke māsivā
maañ ke āñchaloñ ke māsivā
wasi' aasman mein uDa
magar na ruk saka
na chhu saka kisi ko main
na koi mujh ko chhu saka
uDa magar hawas ka asir jism
mubtala-e-qaid-e-intiha hua
dur tak faza faza hui
dur tak KHala KHala hua
to yun main KHushbuon ki qaid se riha hua
ek 'umr tak buland-qamaton ke sar pe nachta raha
zamin ka raqs ruk gaya
phir ek din zamin aaftab se mili
jale bhune se log ruk gae
sabhi mere qadam pe jhuk gae
magar main apne qad ke napne ki fikr mein ghula kiya
tamam shishe chur-chur
samundaron ki sath bhi nazar na aai dur-dur
wasi' aasman mein uDan bhar ke thak gaya tha phir zamin par ruka
main miTTiyon ke jism ka asir tha
main miTTiyon ke jism ka asir hun
thake qadam ka bojh kaun sah sakega
sondhi KHushbuon ke masiwa
man ke aanchalon ke masiwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.