maiñ apne badan kī
miTTī se
pūchh rahā huuñ
tū kitnī chhanī huī hai
sachchā.ī tujh meñ kitnī ghulī hai
mohabbat kā rang kitnā hai
hazāroñ sūraj Duub chuke haiñ
hazāroñ sūraj ubhreñge
sunā hai naqlī dil bikne lage haiñ
kahīñ mohabbat na ḳharīd lenā
ai merī miTTī
mujh se vafā kar
is se pahle ki tū
apnī ham-joliyoñ se jā mile
main apne badan ki
miTTi se
puchh raha hun
tu kitni chhani hui hai
sachchai tujh mein kitni ghuli hai
mohabbat ka rang kitna hai
hazaron suraj Dub chuke hain
hazaron suraj ubhrenge
suna hai naqli dil bikne lage hain
kahin mohabbat na KHarid lena
ai meri miTTi
mujh se wafa kar
is se pahle ki tu
apni ham-joliyon se ja mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.