miyan biwi aur ghaalib
miyāñ-bīvī meñ thī kuchh bahs-o-takrār
the zer-e-bahs 'ġhālib' ke kuchh ash.ār
koī jab faisla ho hī na paayā
to phir tang aa ke biivī ne sunāyā
maiñ mar kar jab pahuñch jā.ūñgī jannat
to ḳhud 'ġhālib' se kar lūñgī vazāhat
kahā shauhar ne kyā samjhī ho biibī
vo shā.ir the sharābī aur kabābī
jahannum hī meñ hogā un ko rahnā
kahā biivī ne phir tum pūchh lenā
miyan-biwi mein thi kuchh bahs-o-takrar
the zer-e-bahs 'ghaalib' ke kuchh ashaar
koi jab faisla ho hi na paya
to phir tang aa ke biwi ne sunaya
main mar kar jab pahunch jaungi jannat
to KHud 'ghaalib' se kar lungi wazahat
kaha shauhar ne kya samjhi ho bibi
wo shair the sharabi aur kababi
jahannum hi mein hoga un ko rahna
kaha biwi ne phir tum puchh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.