mobile
ik jādūī khilaunā hāthoñ pe dhar liye haiñ
bachche javān būḌhe sab is se khelte haiñ
āñkheñ gaḌī huī haiñ aur uñgliyāñ haiñ raqsāñ
duniyā kī sair is meñ sab lutf ke haiñ sāmāñ
tasvīr o film is meñ youtube radio bhī
bhāshan bhajan tilāvat naġhmāt-e-radio bhī
camera-o-conferencing haiñ ehtimām saare
har ghar meñ har galī meñ is ke ġhulām saare
sach pūchhiye to ye hai jaadū kā ik khilaunā
hai is meñ sar khapānā umr-e-azīz khonā
gumrāhiyoñ ke raste is meñ khule hue haiñ
is rāh-e-ilm meñ bhī Daaku chhupe hue haiñ
mīloñ kī dūriyāñ haiñ pal meñ ubuur kartā
dil dūriyāñ bhī achchhā hotā jo duur kartā
ek jadui khilauna hathon pe dhar liye hain
bachche jawan buDhe sab is se khelte hain
aankhen gaDi hui hain aur ungliyan hain raqsan
duniya ki sair is mein sab lutf ke hain saman
taswir o film is mein youtube radio bhi
bhashan bhajan tilawat naghmat-e-radio bhi
camera-o-conferencing hain ehtimam sare
har ghar mein har gali mein is ke ghulam sare
sach puchhiye to ye hai jadu ka ek khilauna
hai is mein sar khapana umr-e-aziz khona
gumrahiyon ke raste is mein khule hue hain
is rah-e-ilm mein bhi Daku chhupe hue hain
milon ki duriyan hain pal mein ubur karta
dil duriyan bhi achchha hota jo dur karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.