modern laDkiyan
sunahrī dopahroñ rupahlī rutoñ
meñ sūraj-mukhī ke shagūfoñ ke paas
chanāroñ se qad aur sitāroñ se nain
zar-afshāñ badan zā'frānī libās
hasīñ goriyāñ gungunātī phireñ
maTaktī phireñ Dagmagātī phireñ
kaḌī dhuup meñ qāsh-e-zar sī tarāshī huī piñDliyāñ
lahaktī phireñ thartharātī phireñ
sajal rāstoñ se guzar jaa.eñ ye
nagīnoñ-bhare ābshāroñ kī tarah
zamānoñ ke dil meñ utar jaa.eñ ye
lajīlī kaTīlī kaTāroñ kī tarah
sunahrī dopahroñ ko ThanDak 'atā karne vaale ḳhayāloñ ke jaadū jagātī phireñ
maTaktī phireñ Dagmagātī phireñ
sunahri dopahron rupahli ruton
mein suraj-mukhi ke shagufon ke pas
chanaron se qad aur sitaron se nain
zar-afshan badan za'frani libas
hasin goriyan gungunati phiren
maTakti phiren Dagmagati phiren
kaDi dhup mein qash-e-zar si tarashi hui pinDliyan
lahakti phiren thartharaati phiren
sajal raston se guzar jaen ye
naginon-bhare aabshaaron ki tarah
zamanon ke dil mein utar jaen ye
lajili kaTili kaTaron ki tarah
sunahri dopahron ko ThanDak 'ata karne wale KHayalon ke jadu jagati phiren
maTakti phiren Dagmagati phiren
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 99)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.