mohabbat ab nahin hogi
sitāre jo damakte haiñ
kisī kī chashm-e-hairāñ meñ
mulāqāteñ jo hotī haiñ
jamāl-e-abr-o-bārāñ meñ
ye nā-ābād vaqtoñ meñ
dil-e-nāshād meñ hogī
mohabbat ab nahīñ hogī
ye kuchh din ba.ad meñ hogī
guzar jā.eñge jab ye din
ye un kī yaad meñ hogī
sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-hairan mein
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran mein
ye na-abaad waqton mein
dil-e-nashad mein hogi
mohabbat ab nahin hogi
ye kuchh din baad mein hogi
guzar jaenge jab ye din
ye un ki yaad mein hogi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 235)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.