mohabbat
aisī quvvat jo sarf nahīñ hotī hai
aziyyat ban jaatī hai
mere dil meñ kitnī mohabbat thī
jis ko zamāne kī be-mehrī aur sard tabī.at ne
iz.hār meñ aane na diyā
āḳhir maiñ ne saarā dard sameTā
aur terī āñkhoñ par vaar diyā
duniyā mere liye terī sūrat meñ
paimāna husn-o-ḳhair banī
yuuñ to mohabbat fard se fard ko hotī hai
lekin tujh se merī mohabbat
vo nuqta hai jis ke chāroñ taraf
āfāq kī gardish hotī hai
aisi quwwat jo sarf nahin hoti hai
aziyyat ban jati hai
mere dil mein kitni mohabbat thi
jis ko zamane ki be-mehri aur sard tabiat ne
izhaar mein aane na diya
aaKHir main ne sara dard sameTa
aur teri aankhon par war diya
duniya mere liye teri surat mein
paimana husn-o-KHair bani
yun to mohabbat fard se fard ko hoti hai
lekin tujh se meri mohabbat
wo nuqta hai jis ke chaaron taraf
aafaq ki gardish hoti hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 268)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.