mohabbat aur fasle
sunā hai fāsle hoñ to mohabbat ruuTh jaatī hai
magar ye bhī to sach hai ki
mohabbat fāsloñ ko kab bhalā ḳhātir meñ laatī hai
mohabbat meñ takalluf aane jaane kā nahīñ hotā
mohabbat meñ koī bhī Dar zamāne kā nahīñ hotā
mohabbat aisā paudā hai ki jo ḳhāroñ meñ paltā hai
magar ḳhāroñ kā dil bhī is mohabbat se dahaltā hai
mohabbat āzmā.ish kī surangoñ se guzartī hai
agar ho āzmā.ish to mohabbat bhī nikhartī hai
magar kuchh fāsle aise bhī hote haiñ
ki jaise rail kī do paTriyāñ haiñ
ki juuñ do haath aur un kī uñgliyāñ haiñ
ki jaise chehre par haiñ do do āñkheñ
ki ye sab saath chalte haiñ
magar hai fāsla in meñ
alag bhī haiñ magar gahrā sā hai ik rābta in meñ
suno phir jo musībat ab ke hai darpesh ham ko
to phir ham āzmā.ish hī samajhte haiñ sitam ko
zarūrī haiñ agar ye fāsle to yuuñ sahī 'āqib'
zamāne kī ḳhushī hī meñ hai apnī bhī ḳhushī 'āqib'
agar yuuñ hai to phir in fāsloñ kī haisiyat kyā hai
mohabbat hai daraḳhshāñ to phir in kī ahmiyat kyā hai
suna hai fasle hon to mohabbat ruTh jati hai
magar ye bhi to sach hai ki
mohabbat faslon ko kab bhala KHatir mein lati hai
mohabbat mein takalluf aane jaane ka nahin hota
mohabbat mein koi bhi Dar zamane ka nahin hota
mohabbat aisa pauda hai ki jo KHaron mein palta hai
magar KHaron ka dil bhi is mohabbat se dahalta hai
mohabbat aazmaish ki surangon se guzarti hai
agar ho aazmaish to mohabbat bhi nikharti hai
magar kuchh fasle aise bhi hote hain
ki jaise rail ki do paTriyan hain
ki jun do hath aur un ki ungliyan hain
ki jaise chehre par hain do do aankhen
ki ye sab sath chalte hain
magar hai fasla in mein
alag bhi hain magar gahra sa hai ek rabta in mein
suno phir jo musibat ab ke hai darpesh hum ko
to phir hum aazmaish hi samajhte hain sitam ko
zaruri hain agar ye fasle to yun sahi 'aqib'
zamane ki KHushi hi mein hai apni bhi KHushi 'aqib'
agar yun hai to phir in faslon ki haisiyat kya hai
mohabbat hai daraKHshan to phir in ki ahmiyat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.