mohabbat aur hawas
mohabbat aur havas
ghar ke badriyā aa.ī kaalī
ḳhush ḳhush thā dhartī kā vaalī
soch rahā thā ab barsegī
aur baras kar pahuñchā.egī
hijr āñkhoñ ko hariyālī
merī bagiyā meñ barsī thī
kaalī gahrī bojhal badlī
koñpal koñpal patta patta
phuuT rahā thā ḳhuub hī thā
saarī dhartī jaag rahī thī
maiñ ḳhush thā ho bālak jaise
chhoḌ ke bārish ke rele meñ
nannhī sī kāġhaz kī kashtī
lekin dekhā ik Daalī par
murda taa.ir ek paḌā hai
uḌtā thā ākāsh meñ pahle
us ko bijlī ke kauñde ne
yā phir bārish kī būñdoñ ne
kosoñ nīche pheñk diyā thā
mohabbat aur hawas
ghar ke badriya aai kali
KHush KHush tha dharti ka wali
soch raha tha ab barsegi
aur baras kar pahunchaegi
hijr aankhon ko hariyali
meri bagiya mein barsi thi
kali gahri bojhal badli
konpal konpal patta patta
phuT raha tha KHub hi tha
sari dharti jag rahi thi
main KHush tha ho baalak jaise
chhoD ke barish ke rele mein
nannhi si kaghaz ki kashti
lekin dekha ek Dali par
murda tair ek paDa hai
uDta tha aakash mein pahle
us ko bijli ke kaunde ne
ya phir barish ki bundon ne
koson niche phenk diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.