mohabbat Diary hargiz nahin hai
Interesting Fact
(June, 1987)
mohabbat Diary hargiz nahīñ hai
jis meñ tum likkho
ki kal kis rang ke kapḌe pahanñe kaun sī ḳhushbū lagānī hai
kise kyā baat kahnī kaun sī kis se chhupānī hai
kahāñ kis peḌ ke saa.e tale milnā hai
mil kar pūchhnā hai
kyā tumheñ mujh se mohabbat hai
ye farsūda sā jumla hai
magar phir bhī yahī jumla
darīchoñ āñganoñ saḌkoñ galī kūchoñ meñ chaubāroñ meñ
chaubāroñ kī TuuTī sīḌhiyoñ meñ
har jagah koī kisī se kah rahā hai
kyā tumheñ mujh se mohabbat hai
mohabbat Diary hargiz nahīñ hai
jis meñ tum likkho
tumheñ kis vaqt kis se kis jagah milnā hai kis ko chhoḌ jaanā hai
kahāñ par kis tarah kī guftugū karnī hai yā ḳhāmosh rahnā hai
kisī ke saath kitnī duur tak jaanā hai aur kab lauT aanā hai
kahāñ āñkheñ milānā hai kahāñ palkeñ jhukānā hai
yā ye likkho ki ab kī baar jab vo milne aa.egā
to us kā haath apne haath meñ le kar
dhanak chehre pe raushan jagmagātī raqs kartī us kī āñkhoñ meñ utar jā.eñge
aur phir gulshan-o-sahrā ke bīchoñ-bīch dil kī saltanat meñ ḳhaak uḌā.eñge
bahut mumkin hai vo ujlat meñ aa.e
aur tum us kā haath hāthoñ meñ na le paao
na āñkhoñ hī meñ jhāñko aur na dil kī saltanat ko fat.h kar paao
jahāñ par guftugū karnī hai tum ḳhāmosh ho jaao
jahāñ ḳhāmosh rahnā hai vahāñ tum bolte jaao
na.e kapḌe pahan kar ghar se niklo maile ho jaao
koī ḳhushbū lagāne kā irāda ho to shīshī haath se gir jaa.e
tum vīrān ho jaao
safar karnā se pahle be-sar-o-sāmān ho jaao
mohabbat Diary hargiz nahīñ hai āb-jū hai
jo diloñ ke darmiyāñ bahtī hai ḳhushbū hai
kabhī palkoñ pe lahrā.e to āñkheñ hañsne lagtī haiñ
jo āñkhoñ meñ utar jaa.e to manzar aur pas-e-manzar meñ sham.eñ jalne lagtī haiñ
kisī bhī rang ko chhū le
vahī dil ko gavārā hai
kisī miTTī meñ ghul jaa.e
vahī miTTī sitāra hai
mohabbat Diary hargiz nahin hai
jis mein tum likkho
ki kal kis rang ke kapDe pahanne kaun si KHushbu lagani hai
kise kya baat kahni kaun si kis se chhupani hai
kahan kis peD ke sae tale milna hai
mil kar puchhna hai
kya tumhein mujh se mohabbat hai
ye farsuda sa jumla hai
magar phir bhi yahi jumla
darichon aanganon saDkon gali kuchon mein chaubaron mein
chaubaron ki TuTi siDhiyon mein
har jagah koi kisi se kah raha hai
kya tumhein mujh se mohabbat hai
mohabbat Diary hargiz nahin hai
jis mein tum likkho
tumhein kis waqt kis se kis jagah milna hai kis ko chhoD jaana hai
kahan par kis tarah ki guftugu karni hai ya KHamosh rahna hai
kisi ke sath kitni dur tak jaana hai aur kab lauT aana hai
kahan aankhen milana hai kahan palken jhukana hai
ya ye likkho ki ab ki bar jab wo milne aaega
to us ka hath apne hath mein le kar
dhanak chehre pe raushan jagmagati raqs karti us ki aankhon mein utar jaenge
aur phir gulshan-o-sahra ke bichon-bich dil ki saltanat mein KHak uDaenge
bahut mumkin hai wo ujlat mein aae
aur tum us ka hath hathon mein na le pao
na aankhon hi mein jhanko aur na dil ki saltanat ko fath kar pao
jahan par guftugu karni hai tum KHamosh ho jao
jahan KHamosh rahna hai wahan tum bolte jao
nae kapDe pahan kar ghar se niklo maile ho jao
koi KHushbu lagane ka irada ho to shishi hath se gir jae
tum viran ho jao
safar karna se pahle be-sar-o-saman ho jao
mohabbat Diary hargiz nahin hai aab-ju hai
jo dilon ke darmiyan bahti hai KHushbu hai
kabhi palkon pe lahrae to aankhen hansne lagti hain
jo aankhon mein utar jae to manzar aur pas-e-manzar mein shamen jalne lagti hain
kisi bhi rang ko chhu le
wahi dil ko gawara hai
kisi miTTi mein ghul jae
wahi miTTi sitara hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 367)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.