mohabbat
ham musībat ke maare mohabbat nahīñ kar sakte
mohabbat agar mahbūb kī bāñhoñ meñ bāñheñ Daale samundar ke kināre chalne kā naam hai
to hameñ vo kināra kabhī nahīñ milā
mohabbat agar mahbūb ke kāñdhoñ par ghaḌī-do-ghaḌī ke sukūn kā naam hai
to hameñ vo kāñdhe mayassar nahīñ
ham to apnī aag meñ mustaqil jalte haiñ
hameñ kyā ma.alūm
kisī ke lams kī hiddat meñ kyā lutf miltā hai
ham ne ḳhud gale lagāyā ḳhasāre ko
ham pe ināyat kaise ho saktī hai
ham nā-vāqif haiñ mohabbat ke lavāzimāt se
hameñ nahīñ aatī vo adā.eñ
jo kisī kī āñkhoñ se niiñd chhīn leñ
hameñ kyā sarokār rūThne manāne ke saare silsiloñ se
hum musibat ke mare mohabbat nahin kar sakte
mohabbat agar mahbub ki banhon mein banhen Dale samundar ke kinare chalne ka nam hai
to hamein wo kinara kabhi nahin mila
mohabbat agar mahbub ke kandhon par ghaDi-do-ghaDi ke sukun ka nam hai
to hamein wo kandhe mayassar nahin
hum to apni aag mein mustaqil jalte hain
hamein kya malum
kisi ke lams ki hiddat mein kya lutf milta hai
hum ne KHud gale lagaya KHasare ko
hum pe inayat kaise ho sakti hai
hum na-waqif hain mohabbat ke lawazimat se
hamein nahin aati wo adaen
jo kisi ki aankhon se nind chhin len
hamein kya sarokar ruThne manane ke sare silsilon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.