mohabbat ka abortion
tumheñ patā hai mohabbat kyā hai
nahīñ
maiñ batātā huuñ tumheñ
pichhle december tak ye jazba mujh meñ is qadar thā ki
merī qalb-dānī meñ mohabbat kā hamal Thahar gayā
vo mere dil kī kokh meñ paltī rahī
vo zinda thī
maiñ ne ek lams ko mahsūs kiyā thā
bas zarā sī jaldī ne vaqt se pahle use janm diyā
aur vo marhūm ho ga.ī
tumhein pata hai mohabbat kya hai
nahin
main batata hun tumhein
pichhle december tak ye jazba mujh mein is qadar tha ki
meri qalb-dani mein mohabbat ka hamal Thahar gaya
wo mere dil ki kokh mein palti rahi
wo zinda thi
main ne ek lams ko mahsus kiya tha
bas zara si jaldi ne waqt se pahle use janm diya
aur wo marhum ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.