mohabbat ka ghar
yaad rahe
chāhatoñ kā ye shahr
ḳhvāboñ kā mohalla
ishq kī galī
aur kachchā makāñ mohabbat kā
jo hamārā hai
ḳhushbūoñ kī dīvāreñ haiñ jahāñ
ehsāsāt kī chhateñ
hañsī aur āñsuoñ se
lipā-putā āñgan hai
harā-bharā
gahrī chhāñv vaalā
pyaar kā ek peḌ hai jahāñ
qissoñ ke chauke meñ
bātoñ ke kuchh bartan
auñdhe haiñ sharmīle se
to kuchh sīdhe muskurāte hue
shikāyatoñ ke dhueñ se
kaale kuchh bartan
hamārā muñh tākte haiñ
ki kyuuñ nahīñ unheñ saaf kiyā
ragaḌ kar ham ne
bhītar ek trunk bhī hai
lamhoñ se bharā
reshmī chādaroñ meñ
yādoñ kī silvaTeñ haiñ
aale meñ jaltā charāġh
vo khūTiyoñ par laTakte
do jismoñ kī jhilliyāñ
jañgaloñ aur khiḌkiyoñ se
jhāñktī chāhateñ hamārī
darvāze kī chaukhaT se
Tapaktī huī
barsāt kī pāgal būñdeñ kuchh
havā ke kuchh jhoñke
aur na jaane kyā kyā
sab bik jā.egā ik din
samāj ke hāthoñ
rivājeñ boliyāñ lagā.eñgī
zaat bhaav baḌhā.egī apnā
aur ḳharīd leñge
janam ke zamīn-dār
vo makāñ hamārā
yaad rahe
chahaton ka ye shahr
KHwabon ka mohalla
ishq ki gali
aur kachcha makan mohabbat ka
jo hamara hai
KHushbuon ki diwaren hain jahan
ehsasat ki chhaten
hansi aur aansuon se
lipa-puta aangan hai
hara-bhara
gahri chhanw wala
pyar ka ek peD hai jahan
qisson ke chauke mein
baaton ke kuchh bartan
aundhe hain sharmile se
to kuchh sidhe muskuraate hue
shikayaton ke dhuen se
kale kuchh bartan
hamara munh takte hain
ki kyun nahin unhen saf kiya
ragaD kar hum ne
bhitar ek trunk bhi hai
lamhon se bhara
reshmi chadaron mein
yaadon ki silwaTen hain
aale mein jalta charagh
wo khuTiyon par laTakte
do jismon ki jhilliyan
jangalon aur khiDkiyon se
jhankti chahaten hamari
darwaze ki chaukhaT se
Tapakti hui
barsat ki pagal bunden kuchh
hawa ke kuchh jhonke
aur na jaane kya kya
sab bik jaega ek din
samaj ke hathon
riwajen boliyan lagaengi
zat bhaw baDhaegi apna
aur KHarid lenge
janam ke zamin-dar
wo makan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.