mohabbat ka janm-din
aaj mohabbat kā janm-din hai
aaj ham udāsī kī chhurī se
apne dil ko kāTeñge
aaj ham apnī palkoñ par
jaltī huī mom-battī rakh ke
ek taar par se guzreñge
hameñ koī nahīñ dekhegā
magar ham har band khiḌkī kī taraf
dekheñge
har darvāze ke sāmne phuul rakheñge
kisī na kisī baat par
ham ro.eñge aur apne rone par
ham hañseñge
aaj mohabbat kā janm-din hai
aaj ham har daraḳht ke sāmne se
guzarte hue
Topī utaar kar use salām kareñge
har bādal ko dekh ke
haath hilā.eñge
har sitāre kā shukriya adā kareñge
hamāre āñsuoñ ne
hamāre hatheliyoñ ko chhalnī kar diyā hai
aaj ham apne donoñ haath
jeboñ meñ Daal kar chaleñge
aur agle baras tak chalte raheñge
aaj mohabbat ka janm-din hai
aaj hum udasi ki chhuri se
apne dil ko kaTenge
aaj hum apni palkon par
jalti hui mom-batti rakh ke
ek tar par se guzrenge
hamein koi nahin dekhega
magar hum har band khiDki ki taraf
dekhenge
har darwaze ke samne phul rakhenge
kisi na kisi baat par
hum roenge aur apne rone par
hum hansenge
aaj mohabbat ka janm-din hai
aaj hum har daraKHt ke samne se
guzarte hue
Topi utar kar use salam karenge
har baadal ko dekh ke
hath hilaenge
har sitare ka shukriya ada karenge
hamare aansuon ne
hamare hatheliyon ko chhalni kar diya hai
aaj hum apne donon hath
jebon mein Dal kar chalenge
aur agle baras tak chalte rahenge
- Book : saarii nazmen (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.