yaaden
ḳhāmoshī aur phūloñ ko mat toḌo
varna bahut sī bātoñ se bharī huī ye raat
zindagī se ḳhālī ho jā.egī
hamārī sub.heñ is añdhere meñ chhupī haiñ
unheñ mat DhūñDo
vo raat meñ bolne vaale jhīñguroñ kī tarah hotī haiñ
jo ḳhāmosh ho jaane par nahīñ milte
maiñ ne apne hiire
zamīn ke jis hisse meñ chhupā.e the
vahāñ koī bādal bhī nahīñ thā
aur mujhe yaad aatā hai
un dinoñ merī har chiiz barf se banī hotī thī
KHamoshi aur phulon ko mat toDo
warna bahut si baaton se bhari hui ye raat
zindagi se KHali ho jaegi
hamari subhen is andhere mein chhupi hain
unhen mat DhunDo
wo raat mein bolne wale jhinguron ki tarah hoti hain
jo KHamosh ho jaane par nahin milte
main ne apne hire
zamin ke jis hisse mein chhupae the
wahan koi baadal bhi nahin tha
aur mujhe yaad aata hai
un dinon meri har chiz barf se bani hoti thi
- Book : saarii nazmen (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.