mohabbat ke raste mein
mohabbat ke rāste meñ
ek saḌak hai
jo mohabbat kī taraf nahīñ jaatī
aur ek pul hai
jo kisī saḌak yā dariyā ko
paar karne meñ istima.al nahīñ hotā
mohabbat ke rāste meñ
ek ghar hai
jis meñ mohabbat
kabhī nahīñ rahtī
aur ek qila
jis meñ andar dāḳhil ho ke
koī bāhar nahīñ nikal saktā
mohabbat ke rāste meñ
ek daraḳht hai
ham jis ke saa.e meñ
dhuup se nahīñ bach sakte
aur ek dīvār hai
jis par kabhī dhuup nahīñ paḌtī
mohabbat ke rāste meñ
ek samundar hai
jis meñ kabhī raat nahīñ hotī
aur ek jañgal
jis meñ phailī huī raat ko
ham paar nahīñ kar sakte
mohabbat ke rāste meñ
havā aur udāsī ke ruḳh par
ek kamra hai
jis meñ baiTh ke
ham kisī ko yaad kar sakte haiñ
aur bhulā sakte haiñ
mohabbat ke raste mein
ek saDak hai
jo mohabbat ki taraf nahin jati
aur ek pul hai
jo kisi saDak ya dariya ko
par karne mein istimal nahin hota
mohabbat ke raste mein
ek ghar hai
jis mein mohabbat
kabhi nahin rahti
aur ek qila
jis mein andar daKHil ho ke
koi bahar nahin nikal sakta
mohabbat ke raste mein
ek daraKHt hai
hum jis ke sae mein
dhup se nahin bach sakte
aur ek diwar hai
jis par kabhi dhup nahin paDti
mohabbat ke raste mein
ek samundar hai
jis mein kabhi raat nahin hoti
aur ek jangal
jis mein phaili hui raat ko
hum par nahin kar sakte
mohabbat ke raste mein
hawa aur udasi ke ruKH par
ek kamra hai
jis mein baiTh ke
hum kisi ko yaad kar sakte hain
aur bhula sakte hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.