mohabbat ki ek nazm
mirī zindagī meñ bas ik kitāb hai ik charāġh hai
ek ḳhvāb hai aur tum ho
ye kitāb o ḳhvāb ke darmiyān jo manzileñ haiñ maiñ chāhtā thā
tumhāre saath basar karūñ
yahī kul asāsa-e-zindagī hai isī ko zād-e-safar karūñ
kisī aur samt nazar karūñ to mirī duā meñ asar na ho
mire dil ke jāda-e-ḳhush-ḳhabar pe ba-juz tumhāre kabhī kisī kā guzar na ho
magar is tarah ki tumheñ bhī us kī ḳhabar na ho
A LOVE POEM
meri zindagi mein bas ek kitab hai ek charagh hai
ek KHwab hai aur tum ho
ye kitab o KHwab ke darmiyan jo manzilen hain main chahta tha
tumhaare sath basar karun
yahi kul asasa-e-zindagi hai isi ko zad-e-safar karun
kisi aur samt nazar karun to meri dua mein asar na ho
mere dil ke jada-e-KHush-KHabar pe ba-juz tumhaare kabhi kisi ka guzar na ho
magar is tarah ki tumhein bhi us ki KHabar na ho
A LOVE POEM
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.