mohabbat ko kabhi yaad na banne dena
kabhī mohabbat ko yaad na banñe denā
tumheñ ma.alūm nahīñ hai
mohabbat yaad ban jaa.e to
lambe ghane daraḳhtoñ kī shāḳhoñ kī mānind
badan ke gird
yuuñ lipaT jaatī haiñ ki sāñseñ
ruk ruk kar aatī haiñ
ek lamhe ko
yuuñ lagtā hai jaise
zindagī aur maut ke beach ḳhāna-jañgī meñ
zindagī haar jā.egī
magar mohabbat kī siskiyāñ
kuchh der saham kar
chup oḌh letī haiñ
aur phir us ek lamhe kī maut
ka.ī sadiyoñ par bhārī ho jaatī hai
suno
bas us ek lamhe kī syāhī
ragoñ meñ ghulne se pahle
ye jaan lo
mohabbat ko kabhī yaad na banñe denā
kabhi mohabbat ko yaad na banne dena
tumhein malum nahin hai
mohabbat yaad ban jae to
lambe ghane daraKHton ki shaKHon ki manind
badan ke gird
yun lipaT jati hain ki sansen
ruk ruk kar aati hain
ek lamhe ko
yun lagta hai jaise
zindagi aur maut ke beach KHana-jangi mein
zindagi haar jaegi
magar mohabbat ki siskiyan
kuchh der saham kar
chup oDh leti hain
aur phir us ek lamhe ki maut
kai sadiyon par bhaari ho jati hai
suno
bas us ek lamhe ki syahi
ragon mein ghulne se pahle
ye jaan lo
mohabbat ko kabhi yaad na banne dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.