mohabbat mein der ho sakti hai
jab tum mujhe suno
ye kahte hue
ek ḳhūb-sūrat laḌkī pe marnā
kitnā āsān hai
aur usī ke liye mar jaanā
maiñ pasand kartā huuñ
aur is ke ba.ad
tum mujhe dekho
ka.ī baras tak
apne TuuTe hue dil ko joḌte
gire hue sitāroñ ko
dobāra āsmān meñ Tāñkte
miTTī meñ mile hue phūloñ ko
phir se khilāne kī koshish karte
ek ḳhūb-sūrat laḌkī ke liye
mohabbat meñ der ho saktī hai
jab tum mujhe suno
ye kahte hue
ek KHub-surat laDki pe marna
kitna aasan hai
aur usi ke liye mar jaana
main pasand karta hun
aur is ke baad
tum mujhe dekho
kai baras tak
apne TuTe hue dil ko joDte
gire hue sitaron ko
dobara aasman mein Tankte
miTTi mein mile hue phulon ko
phir se khilane ki koshish karte
ek KHub-surat laDki ke liye
mohabbat mein der ho sakti hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 288)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.