Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein KHuda bhi mubtala hai

Naeem Zarrar Ahmad

mohabbat mein KHuda bhi mubtala hai

Naeem Zarrar Ahmad

MORE BYNaeem Zarrar Ahmad

    mohabbat zindagī hai

    mohabbat dil tiira sā.atoñ meñ raushnī hai

    ye vīrānoñ meñ ḳhud-rav naġhmagī hai

    mohabbat jur.at-e-iz.hār hai kirdār hai

    mohabbat dīda-e-bedār hai pindār hai

    īsār hai

    mohabbat jaan detī hai

    mohabbat maan detī hai

    mohabbat be-nishāñ rishtoñ ko bhī pahchān detī hai

    mohabbat aql bhī hai

    mohabbat māvarā-e-aql bhī hai

    mohabbat hijr bhī hai vasl bhī hai

    mohabbat pesh-raft-e-nasl bhī hai

    mohabbat zaḳhm par marham

    mohabbat sar-basar tarahhum

    mohabbat mohtaram sach ilm zor-e-qalam

    mohabbat kāvish-e-paiham

    mohabbat raaz yazdāñ kholtī hai

    mohabbat zarf-e-ādam toltī hai

    mohabbat ḳhāmushī meñ boltī hai

    mohabbat aarzū hai justujū hai rañg-o-bū hai

    mohabbat jiit kar miTne ḳhū hai

    mohabbat haar kar bhī surḳh-rū hai

    mohabbat ibtidā hai intihā hai

    mohabbat bā.is-e-arz-o-samā hai

    mohabbat meñ ḳhudā bhī mubtalā hai

    mohabbat zindagi hai

    mohabbat dil ki tera saaton mein raushni hai

    ye viranon mein KHud-raw naghmagi hai

    mohabbat jurat-e-izhaar hai kirdar hai

    mohabbat dida-e-bedar hai pindar hai

    isar hai

    mohabbat jaan deti hai

    mohabbat man deti hai

    mohabbat be-nishan rishton ko bhi pahchan deti hai

    mohabbat aql bhi hai

    mohabbat mawara-e-aql bhi hai

    mohabbat hijr bhi hai wasl bhi hai

    mohabbat pesh-raft-e-nasl bhi hai

    mohabbat zaKHm par marham

    mohabbat sar-basar tarahhum

    mohabbat mohtaram sach ka ilm zor-e-qalam

    mohabbat kawish-e-paiham

    mohabbat raaz yazdan kholti hai

    mohabbat zarf-e-adam tolti hai

    mohabbat KHamushi mein bolti hai

    mohabbat aarzu hai justuju hai rang-o-bu hai

    mohabbat jit kar miTne ki KHu hai

    mohabbat haar kar bhi surKH-ru hai

    mohabbat ibtida hai intiha hai

    mohabbat bais-e-arz-o-sama hai

    mohabbat mein KHuda bhi mubtala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now