mohabbat
mohabbat ahd-o-paimān-e-vafā hai
mohabbat hadd-e-imkān-e-vafā hai
mohabbat ik kitāb aisī hai jis kā
har ik unvān unvān-e-vafā hai
mohabbat phūlne-phalne kī shai hai
use pāmāl sabza mat banāo
diloñ ke qāfile chalte haiñ is par
so nā-hamvār rasta mat banāo
ise khilne do apne mausamoñ meñ
bahār-e-ahd-e-rafta mat banāo
ye hai ma.asūm aur nanhā parinda
use zanjīr-basta mat banāo
ye lahrātā huā āñchal hai is ko
kisī bādal kā TukḌā mat banāo
ye chashme kā mīThā saaf paanī
so is paanī ko gadlā mat banāo
ye hai āvāz mehdī aur latā kī
in āvāzoñ ko murda mat banāo
mohabbat tez dhuup aur bārishoñ meñ
jo dil vaale haiñ un kā sā.ebāñ hai
mohabbat kuchh na hone par bhī 'ashfāq'
duā detī huī sadiyoñ kī maañ hai
mohabbat ahd-o-paiman-e-wafa hai
mohabbat hadd-e-imkan-e-wafa hai
mohabbat ek kitab aisi hai jis ka
har ek unwan unwan-e-wafa hai
mohabbat phulne-phalne ki shai hai
use pamal sabza mat banao
dilon ke qafile chalte hain is par
so na-hamwar rasta mat banao
ise khilne do apne mausamon mein
bahaar-e-ahd-e-rafta mat banao
ye hai masum aur nanha parinda
use zanjir-basta mat banao
ye lahraata hua aanchal hai is ko
kisi baadal ka TukDa mat banao
ye chashme ka miTha saf pani
so is pani ko gadla mat banao
ye hai aawaz mehdi aur lata ki
in aawazon ko murda mat banao
mohabbat tez dhup aur barishon mein
jo dil wale hain un ka saeban hai
mohabbat kuchh na hone par bhi 'ashfaq'
dua deti hui sadiyon ki man hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.