mohabbat
mohabbat aisā chashma hai
jo sūkhā hī nahīñ kartā
mohabbat aisā paudā hai
jo patjhaḌ meñ bhī phaltā hai
mohabbat aisā dariyā hai
kabhī biphrā nahīñ kartā
mohabbat aisā lamha hai
jo hamesha amar rahtā hai
mohabbat aisā jazba hai
jo mar kar bhī nahīñ martā
mohabbat aisā sapnā hai
jo kabhī puurā nahīñ hotā
mohabbat aisā bachcha hai
ki jis kī zid ke aage
har koī majbūr hotā hai
mohabbat aisa chashma hai
jo sukha hi nahin karta
mohabbat aisa pauda hai
jo patjhaD mein bhi phalta hai
mohabbat aisa dariya hai
kabhi biphra nahin karta
mohabbat aisa lamha hai
jo hamesha amar rahta hai
mohabbat aisa jazba hai
jo mar kar bhi nahin marta
mohabbat aisa sapna hai
jo kabhi pura nahin hota
mohabbat aisa bachcha hai
ki jis ki zid ke aage
har koi majbur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.