mohabbat
mohabbat ḳhāliq-e-har-do-jahāñ hai
mohabbat dīn-e-fitrat kī zabāñ hai
mohabbat jazba-e-sidq-o-yaqīñ hai
mohabbat hī mohabbat kī amiiñ hai
mohabbat tālib-e-husn-o-javānī
mohabbat phuul kāñToñ kī kahānī
mohabbat shāhid-e-vahdāniyat hai
mohabbat jazba-e-insāniyat hai
mohabbat harf-e-shīrīñ kī amānat
mohabbat jazba-e-dil kī sadāqat
mohabbat jism bhī hai jaan bhī hai
mohabbat fitrat-e-insān bhī hai
kahā jis ko farishtoñ ne 'ibādat
mohabbat hai mohabbat hai mohabbat
mohabbat dushman-e-rahbāniyat hai
mohabbat kalma-e-insāniyat hai
mohabbat rahnumā-e-ādmī hai
mohabbat soz-o-sāz-e-zindagī hai
mohabbat 'ishq kā tūfān bhī hai
mohabbat husn kā īmān bhī hai
mohabbat falsafa hai dostī kā
mohabbat meñ sabaq hai zindagī kā
mohabbat fāteh-o-maftūh bhī hai
mohabbat hāmid-o-mamdūh bhī hai
mohabbat hai yaqīn-e-kāmrānī
mohabbat daar kī bhī hai kahānī
mohabbat dīn-o-duniyā kī talab hai
mohabbat fikr hai 'ilm-o-adab hai
mohabbat tarz bhī andāz bhī hai
mohabbat saaz bhī āvāz bhī hai
mohabbat jāñ-nisāroñ kī ḳhushī hai
mohabbat husn kī zinda-dilī hai
mohabbat kā nahīñ hai ek pahlū
mohabbat par na paayā dil ne qaabū
mohabbat naġhma-e-roz-e-azal hai
mohabbat qāzī-e-shahr-e-'amal hai
mohabbat dard hai dīvāngī hai
mohabbat farz hai mardāngī hai
mohabbat imtihān-e-zindagī hai
mohabbat devtā kī mūrtī hai
mohabbat rahmatoñ kī dāstāñ hai
mohabbat mard-e-momin kī azaañ hai
mohabbat raunaq-e-duniyā-o-dīñ hai
mohabbat chāñd sūraj kī zamīñ hai
mohabbat gul bhī hai aur gulsitāñ bhī
mohabbat ḳhārzāroñ kī zabāñ bhī
mohabbat dā'vat-e-ranj-o-alam bhī
mohabbat hai naved-e-fikr-o-ġham bhī
mohabbat valvaloñ kī intihā bhī
buḌhāpe meñ javānī kī sadā bhī
mohabbat hī ḳhushī kā rāsta hai
mohabbat hī meñ duniyā kā bhalā hai
mohabbat qissa-e-jām-o-subū hai
mohabbat zindagī kī justujū hai
mohabbat ādam-o-havvā ne kī hai
mohabbat ruuh kī pākīzgī hai
mohabbat chain hai sabr-o-sukūñ hai
mohabbat rāhat-e-ahl-e-junūñ hai
mohabbat se hai raunaq mahfiloñ kī
mohabbat kab ḳhatā hai thuḌ-diloñ kī
mohabbat har salīqe kā nishāñ hai
mohabbat har nafas kī dāstāñ hai
mohabbat mā'nī-e-husn-e-suḳhan hai
mohabbat allah vāloñ kā chalan hai
mohabbat sāhab-e-'ilm-ul-yaqīñ bhī
mohabbat ruuh bhī rūh-ul-amīñ bhī
mohabbat 'ishq hai zarb-e-ḳhudī hai
mohabbat zulfiqār-e-haidarī hai
mohabbat bhed khole aarzū ke
mohabbat zindagī ke ġham sameTe
mohabbat nafsiyātī uljhanoñ se
varaq ulTe sadāqat ke junūñ ke
mohabbat hai 'ilāj-e-zabt-e-insāñ
mohabbat imtihān-e-zabt-e-insāñ
mohabbat kī alag sab se hai bolī
mohabbat kī girah fitrat ne kholī
mohabbat sāhib-e-fikr-o-nazar hai
mohabbat meñ raqābat kā bhī Dar hai
mohabbat do-jahāñ meñ surḳh-rū bhī
mohabbat gul mohabbat rang-o-bū bhī
mohabbat māhtāboñ se banī hai
mohabbat inqilāboñ se banī hai
mohabbat kā nasha hai sab se behtar
mohabbat pāra-e-tasnīm-o-kausar
mohabbat sho'la hai sho’la-numā hai
mohabbat hī haqīqat meñ ḳhudā hai
mohabbat KHaliq-e-har-do-jahan hai
mohabbat din-e-fitrat ki zaban hai
mohabbat jazba-e-sidq-o-yaqin hai
mohabbat hi mohabbat ki amin hai
mohabbat talib-e-husn-o-jawani
mohabbat phul kanTon ki kahani
mohabbat shahid-e-wahdaniyat hai
mohabbat jazba-e-insaniyat hai
mohabbat harf-e-shirin ki amanat
mohabbat jazba-e-dil ki sadaqat
mohabbat jism bhi hai jaan bhi hai
mohabbat fitrat-e-insan bhi hai
kaha jis ko farishton ne 'ibaadat
mohabbat hai mohabbat hai mohabbat
mohabbat dushman-e-rahbaniyat hai
mohabbat kalma-e-insaniyat hai
mohabbat rahnuma-e-admi hai
mohabbat soz-o-saz-e-zindagi hai
mohabbat 'ishq ka tufan bhi hai
mohabbat husn ka iman bhi hai
mohabbat falsafa hai dosti ka
mohabbat mein sabaq hai zindagi ka
mohabbat fateh-o-maftuh bhi hai
mohabbat hamid-o-mamduh bhi hai
mohabbat hai yaqin-e-kaamrani
mohabbat dar ki bhi hai kahani
mohabbat din-o-duniya ki talab hai
mohabbat fikr hai 'ilm-o-adab hai
mohabbat tarz bhi andaz bhi hai
mohabbat saz bhi aawaz bhi hai
mohabbat jaan-nisaron ki KHushi hai
mohabbat husn ki zinda-dili hai
mohabbat ka nahin hai ek pahlu
mohabbat par na paya dil ne qabu
mohabbat naghma-e-roz-e-azal hai
mohabbat qazi-e-shahr-e-'amal hai
mohabbat dard hai diwangi hai
mohabbat farz hai mardangi hai
mohabbat imtihan-e-zindagi hai
mohabbat dewta ki murti hai
mohabbat rahmaton ki dastan hai
mohabbat mard-e-momin ki azan hai
mohabbat raunaq-e-duniya-o-din hai
mohabbat chand suraj ki zamin hai
mohabbat gul bhi hai aur gulsitan bhi
mohabbat KHarzaron ki zaban bhi
mohabbat da'wat-e-ranj-o-alam bhi
mohabbat hai nawed-e-fikr-o-gham bhi
mohabbat walwalon ki intiha bhi
buDhape mein jawani ki sada bhi
mohabbat hi KHushi ka rasta hai
mohabbat hi mein duniya ka bhala hai
mohabbat qissa-e-jam-o-subu hai
mohabbat zindagi ki justuju hai
mohabbat aadam-o-hawwa ne ki hai
mohabbat ruh ki pakizgi hai
mohabbat chain hai sabr-o-sukun hai
mohabbat rahat-e-ahl-e-junun hai
mohabbat se hai raunaq mahfilon ki
mohabbat kab KHata hai thuD-dilon ki
mohabbat har saliqe ka nishan hai
mohabbat har nafas ki dastan hai
mohabbat ma'ni-e-husn-e-suKHan hai
mohabbat allah walon ka chalan hai
mohabbat sahab-e-'ilm-ul-yaqin bhi
mohabbat ruh bhi ruh-ul-amin bhi
mohabbat 'ishq hai zarb-e-KHudi hai
mohabbat zulfiqar-e-haidari hai
mohabbat bhed khole aarzu ke
mohabbat zindagi ke gham sameTe
mohabbat nafsiyati uljhanon se
waraq ulTe sadaqat ke junun ke
mohabbat hai 'ilaj-e-zabt-e-insan
mohabbat imtihan-e-zabt-e-insan
mohabbat ki alag sab se hai boli
mohabbat ki girah fitrat ne kholi
mohabbat sahib-e-fikr-o-nazar hai
mohabbat mein raqabat ka bhi Dar hai
mohabbat do-jahan mein surKH-ru bhi
mohabbat gul mohabbat rang-o-bu bhi
mohabbat mahtabon se bani hai
mohabbat inqilabon se bani hai
mohabbat ka nasha hai sab se behtar
mohabbat para-e-tasnim-o-kausar
mohabbat sho'la hai sho’la-numa hai
mohabbat hi haqiqat mein KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.