mohabbat
mohabbat ḳhudā kī haqīqat kā nuur
mohabbat kisī kā payām-e-zuhūr
mohabbat ke paiġhāmbar ambiyā
mohabbat ke zer-e-asar auliyā
mohabbat nuqūsh-e-bayāz-e-vajūd
tar-o-tāza is se riyāz-e-shuhūd
mohabbat nahīñ to nahīñ zindagī
mohabbat se hai dil-nashīñ zindagī
mohabbat se har zarra paivasta hai
tarab zā mohabbat kā guldasta hai
nashāt-e-mohabbat rafīq-e-hayāt
kiye us ne hal zindagī ke nikāt
mohabbat se har ik haqīqat ayaañ
mohabbat se maañ kī fazīlat ayaañ
mohabbat se shān-e-pidar sar-buland
mohabbat se vasf-e-pisar arjumand
mohabbat se mazbūt ajzā-e-qaum
mohabbat se marbūt ārā-e-qaum
mohabbat se qaa.em nizām-e-hayāt
taġhayyur meñ bhī un kā nūr-e-sabāt
mohabbat nahīñ hai to kuchh bhī nahīñ
mohabbat hī hai asal duniyā-o-dīñ
mohabbat KHuda ki haqiqat ka nur
mohabbat kisi ka payam-e-zuhur
mohabbat ke paighambar ambiya
mohabbat ke zer-e-asar auliya
mohabbat nuqush-e-bayaz-e-wajud
tar-o-taza is se riyaz-e-shuhud
mohabbat nahin to nahin zindagi
mohabbat se hai dil-nashin zindagi
mohabbat se har zarra paiwasta hai
tarab za mohabbat ka guldasta hai
nashat-e-mohabbat rafiq-e-hayat
kiye us ne hal zindagi ke nikat
mohabbat se har ek haqiqat ayan
mohabbat se man ki fazilat ayan
mohabbat se shan-e-pidar sar-buland
mohabbat se wasf-e-pisar arjumand
mohabbat se mazbut ajza-e-qaum
mohabbat se marbut aara-e-qaum
mohabbat se qaem nizam-e-hayat
taghayyur mein bhi un ka nur-e-sabaat
mohabbat nahin hai to kuchh bhi nahin
mohabbat hi hai asal duniya-o-din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.