mohabbat
mohabbat kore kāġhaz par kabhī likkhī nahīñ jaatī
ki miT jaane kā ḳhatra hai
mohabbat saaf patthar par kabhī kanda nahīñ karte
ki patthar TuuT saktā hai
mohabbat dil ke ā.īne meñ hī tahrīr hotī hai
agar dil TuuT bhī jaa.e
mohabbat kirchiyāñ ban kar sadā siine meñ rahtī hai
hamesha zinda rahtī hai
mohabbat kore kaghaz par kabhi likkhi nahin jati
ki miT jaane ka KHatra hai
mohabbat saf patthar par kabhi kanda nahin karte
ki patthar TuT sakta hai
mohabbat dil ke aaine mein hi tahrir hoti hai
agar dil TuT bhi jae
mohabbat kirchiyan ban kar sada sine mein rahti hai
hamesha zinda rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.