mohabbat
mohabbat vasl-o-hijrañ kī
ajab sī ik kahānī hai
ki jaise rā.igānī hai
kisī bhī ḳhvāb ko ta.abīr kā dar tak nahīñ miltā
jo dil pe zaḳhm lagtā hai nahīñ saltā
taḌaptā hai har-ik dil
koī pul rāhatoñ kā mil nahīñ paatā
kisī kī yaad āñkhoñ ko jalā ke jab nikaltī hai
to ruuh tak taḌaptī hai
mohabbat wasl-o-hijran ki
ajab si ek kahani hai
ki jaise raigani hai
kisi bhi KHwab ko tabir ka dar tak nahin milta
jo dil pe zaKHm lagta hai nahin salta
taDapta hai har-ik dil
koi pul rahaton ka mil nahin pata
kisi ki yaad aankhon ko jala ke jab nikalti hai
to ruh tak taDapti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.