mohabbat
tujh ko gar merī zarūrat hai
to phir jān-e-hayāt
apne farsūda mohabbat ke ḳhayālāt badal
hijr o ġham rañj-o-alam vasl o firāq
is kaThin vaqt meñ
bejā sī shikāyāt na kar
dekh vo sab bhī to maiñ
dekh ki pahuñchā huuñ yahāñ
jis ko tū dekh le ik baar
to terī āñkheñ
umr bhar sakte ke aalam se na nikal paa.eñ
dekh maiñ is ajab maqām pe
aane se qabl
aisī rāhoñ se guzar aayā huuñ
jahāñ se tū
ek pal ko bhī jo guzre
to tere zaḳhm-e-pā
ban ke nāsūr tujhe
dard meñ rakkheñ har dam
dekh maiñ chāhat-o-ulfat kā to qaa.il magar
har ek chiiz har ek rishta zamāne meñ
mohabbat hai magar....
dekh is vaqt mere des meñ
phailī huī hai
har taraf ḳhuun kī bārūd kī
nafrat kī phuvār
sun zarā kone meñ rote hue
bachche kī pukār
dekh bārūd ke hāthoñ se ye
luthḌā huā jism
dekh rozī ko bhaTaktā huā
bachchoñ kā vo baap
dekh phir so ga.e
is des ke bachche bhūke
dekh us maañ kī taraf dekh
ki jis kī āñkheñ
nazreñ kho baiThī haiñ rote hue
us aas pe ki
lauT aa.egā vo us kā
javān la.al kabhī
ghar se niklā thā jo
hāthoñ meñ degrēyoñ ko liye...
aaj tak lauT ke aayā nahīñ
umreñ bītīñ...
mujh ko ye dard rakhā karte haiñ
nīndoñ se pare....
soch is dard meñ
chāhat kī kise ḳhvāhish ho
soch is dard meñ rāhat kī
kise ḳhvāhish ho
mujh ko jo karnā hai
vo ab un ke liye karnā hai
mujh ko jiinā hai to bas
un ke liye jiinā hai
maiñ ne maanā ki nahīñ aur koī
tujh sā hasīñ...
par mujhe soch kī
is lahr ne aa gherā hai
jis se chhuTkārā merī jaan
ab mumkin hī nahīñ
tujh ko gar merī zarūrat hai
to phir jān-e-hayāt
apne farsūda mohabbat ke ḳhayālāt badal
haath meñ haath de
aur phir tū mere saath meñ chal...
tujh ko gar meri zarurat hai
to phir jaan-e-hayat
apne farsuda mohabbat ke KHayalat badal
hijr o gham ranj-o-alam wasl o firaq
is kaThin waqt mein
beja si shikayat na kar
dekh wo sab bhi to main
dekh ki pahuncha hun yahan
jis ko tu dekh le ek bar
to teri aankhen
umr bhar sakte ke aalam se na nikal paen
dekh main is ajab maqam pe
aane se qabl
aisi rahon se guzar aaya hun
jahan se tu
ek pal ko bhi jo guzre
to tere zaKHm-e-pa
ban ke nasur tujhe
dard mein rakkhen har dam
dekh main chahat-o-ulfat ka to qail magar
har ek chiz har ek rishta zamane mein
mohabbat hai magar
dekh is waqt mere des mein
phaili hui hai
har taraf KHun ki barud ki
nafrat ki phuwar
sun zara kone mein rote hue
bachche ki pukar
dekh barud ke hathon se ye
luthDa hua jism
dekh rozi ko bhaTakta hua
bachchon ka wo bap
dekh phir so gae
is des ke bachche bhuke
dekh us man ki taraf dekh
ki jis ki aankhen
nazren kho baiThi hain rote hue
us aas pe ki
lauT aaega wo us ka
jawan lal kabhi
ghar se nikla tha jo
hathon mein degreeyon ko liye
aaj tak lauT ke aaya nahin
umren bitin
mujh ko ye dard rakha karte hain
nindon se pare
soch is dard mein
chahat ki kise KHwahish ho
soch is dard mein rahat ki
kise KHwahish ho
mujh ko jo karna hai
wo ab un ke liye karna hai
mujh ko jina hai to bas
un ke liye jina hai
main ne mana ki nahin aur koi
tujh sa hasin
par mujhe soch ki
is lahr ne aa ghera hai
jis se chhuTkara meri jaan
ab mumkin hi nahin
tujh ko gar meri zarurat hai
to phir jaan-e-hayat
apne farsuda mohabbat ke KHayalat badal
hath mein hath de
aur phir tu mere sath mein chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.