mohabbat
maiñ jism o jaañ ke tamām rishtoñ se chāhtā huuñ
nahīñ samajhtā ki aisā kyuuñ hai
na ḳhāl-o-ḳhad kā jamāl us meñ na zindagī kā kamāl koī
jo koī us meñ hunar bhī hogā
to mujh ko is kī ḳhabar nahīñ hai
na jaane phir kyūñ!
maiñ vaqt ke dā.eroñ se bāhar kisī tasavvur meñ uḌ rahā huuñ
ḳhayāl meñ ḳhvāb o ḳhalvat-e-zāt o jalvat-e-bazm meñ shab o roz
mirā lahū apnī gardishoñ meñ usī kī tasbīh paḌh rahā hai
jo merī chāhat se be-ḳhabar hai
kabhī kabhī vo nazar churā kar qarīb se mere yuuñ bhī guzrā
ki jaise vo bā-ḳhabar hai
merī mohabbatoñ se
dil o nazar kī hikāyateñ sun rakhī haiñ us ne
mirī hī sūrat
vo vaqt ke dā.eroñ se bāhar kisī tasavvur meñ uḌ rahā hai
ḳhayāl meñ ḳhvāb o ḳhalvat-e-zāt o jalvat-e-bazm meñ shab o roz
vo jism o jaañ ke tamām rishtoñ se chāhtā hai
magar nahīñ jāntā ye vo bhī
ki aisā kyuuñ hai
maiñ sochtā huuñ vo sochtā hai
kabhī mile ham to ā.īnoñ ke tamām bātin ayaañ kareñge
haqīqatoñ kā safar kareñge
main jism o jaan ke tamam rishton se chahta hun
nahin samajhta ki aisa kyun hai
na KHal-o-KHad ka jamal us mein na zindagi ka kamal koi
jo koi us mein hunar bhi hoga
to mujh ko is ki KHabar nahin hai
na jaane phir kyun!
main waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein uD raha hun
KHayal mein KHwab o KHalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz
mera lahu apni gardishon mein usi ki tasbih paDh raha hai
jo meri chahat se be-KHabar hai
kabhi kabhi wo nazar chura kar qarib se mere yun bhi guzra
ki jaise wo ba-KHabar hai
meri mohabbaton se
dil o nazar ki hikayaten sun rakhi hain us ne
meri hi surat
wo waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein uD raha hai
KHayal mein KHwab o KHalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz
wo jism o jaan ke tamam rishton se chahta hai
magar nahin jaanta ye wo bhi
ki aisa kyun hai
main sochta hun wo sochta hai
kabhi mile hum to aainon ke tamam baatin ayan karenge
haqiqaton ka safar karenge
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 23)
- Author : Obaidullah Aleem
- Publication : Al-Ibas Printers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.