mohabbat ramz-e-hasti hai
mohabbat ḳhvāb-e-gul hai
shāḳh-e-dil kī suunī palkoñ par
laraztā ḳhvāb-e-gul
jo naḳhl-e-jāñ ke zard-rū
girte hue pattoñ kī
sāñsoñ meñ mahaktā hai
mohabbat zindagī ke sabz ufuq par
duur tak phailī huī ḳhushbū kī lau hai
jo kabhī dil ke darīchoñ meñ
utar kar muskurātī hai
to har-sū raushnī sī phail jaatī hai
mohabbat ramz-e-hastī hai
ye aisā bhed hai jo kitne barsoñ
balki umroñ kī
musalsal be-riyā kāvish pe khultā hai
to goyā yuuñ mohabbat
zindagī kā isti.āra hai
ki jis kā har bayāñ alfāz kī chhab
aur lahjoñ kā khanak se
māvarā ho kar bhī
duniyā-e-ma.āfī apnī ḳhāmoshī meñ rakhtā hai
mohabbat ḳhvāb-e-gul bhī hai
mohabbat ramz-e-hastī bhī
mohabbat KHwab-e-gul hai
shaKH-e-dil ki suni palkon par
larazta KHwab-e-gul
jo naKHl-e-jaan ke zard-ru
girte hue patton ki
sanson mein mahakta hai
mohabbat zindagi ke sabz ufuq par
dur tak phaili hui KHushbu ki lau hai
jo kabhi dil ke darichon mein
utar kar muskuraati hai
to har-su raushni si phail jati hai
mohabbat ramz-e-hasti hai
ye aisa bhed hai jo kitne barson
balki umron ki
musalsal be-riya kawish pe khulta hai
to goya yun mohabbat
zindagi ka istiara hai
ki jis ka har bayan alfaz ki chhab
aur lahjon ka khanak se
mawara ho kar bhi
duniya-e-maafi apni KHamoshi mein rakhta hai
mohabbat KHwab-e-gul bhi hai
mohabbat ramz-e-hasti bhi
- Book : Zehn-e-Jadeed (Pg. 183)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.