mohabbat bhiik meñ hargiz nahīñ miltī
mohabbat daan bhī koī nahīñ kartā
ki ye ḳhairāt hotī hai
mohabbat to mohabbat hai
ye ḳhushbū kī tarah kā koī saath hotā hai
koī ehsās hotā
kisī ke haath meñ jaise kisī kā haath hotā hai
mohabbat to faqat sāñsoñ meñ bastī hai
kahīñ dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ paltī hai
mohabbat kā jo rasta hai bahut dushvār hotā hai
bahut pur-ḳhār hotā
mohabbat pyaas hai shāyad
kabhī bhī jo nahīñ bujhtī
mohabbat bhiik meñ hargiz nahīñ miltī
mohabbat bhik mein hargiz nahin milti
mohabbat dan bhi koi nahin karta
ki ye KHairaat hoti hai
mohabbat to mohabbat hai
ye KHushbu ki tarah ka koi sath hota hai
koi ehsas hota
kisi ke hath mein jaise kisi ka hath hota hai
mohabbat to faqat sanson mein basti hai
kahin dil ke nihan-KHanon mein palti hai
mohabbat ka jo rasta hai bahut dushwar hota hai
bahut pur-KHar hota
mohabbat pyas hai shayad
kabhi bhi jo nahin bujhti
mohabbat bhik mein hargiz nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.