mohabbat
tum apne kamre meñ gahrī tanhā.iyoñ meñ gum the
ghaḌī kī Tik-Tik jo suī ko Tekte guzartī
tumheñ ye mahsūs hone lagtā
ki jaise sar par ka.ī hathauḌe baras rahe haiñ
tumhārī kursī kī charcharāhaT
tumhārī tanhā.iyoñ pe lagtā ki bain kartī koī rudālī
idhar maiñ apne jahān-e-rañgīñ meñ jī rahī thī
ki mere atrāf zindagī thī
bahār-e-tāza bhī dilkashī thī
hasīñ mulā.em sī raushnī thī
phir ek din ittifāq se mil ga.e the ham tum
mohabbatoñ ke asiir ho kar chale the ham tum
magar safar meñ na jaane kaise kahāñ pe āḳhir
ye moḌ aayā
nasīb ne phir ye din dikhāyā
haqīqatoñ ko zavāl aayā
tum aaj apne jahān-e-rañgīñ meñ jī rahe ho
maiñ apne kamre meñ gahrī tanhā.iyoñ meñ gum thā
tum apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum the
ghaDi ki Tik-Tik jo sui ko Tekte guzarti
tumhein ye mahsus hone lagta
ki jaise sar par kai hathauDe baras rahe hain
tumhaari kursi ki charcharahaT
tumhaari tanhaiyon pe lagta ki bain karti koi rudali
idhar main apne jahan-e-rangin mein ji rahi thi
ki mere atraf zindagi thi
bahaar-e-taza bhi dilkashi thi
hasin mulaem si raushni thi
phir ek din ittifaq se mil gae the hum tum
mohabbaton ke asir ho kar chale the hum tum
magar safar mein na jaane kaise kahan pe aaKHir
ye moD aaya
nasib ne phir ye din dikhaya
haqiqaton ko zawal aaya
tum aaj apne jahan-e-rangin mein ji rahe ho
main apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum tha
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 83)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.