mohlat
zarā mohlat to de mujh ko
basā luuñ in nigāhoñ meñ
vo chehrā
jo mah-e-kāmil sā raushan hai
vo chehrā jis ne vīrāne meñ dil ke
khilā.e haiñ mohabbat ke gulistāñ
vo chehrā jis ke dam se
abhī tak huuñ maiñ zinda
zarā mohlat to de mujh ko
maiñ un zulfoñ kī ḳhushbū ko
churā kar mast āñchal se
havā ke
maiñ apnī ruuh ko kar luuñ mo.attar
zarā mohlat to de mujh ko
maiñ le kar raushnī kī chand kirneñ
un nigāhoñ se
añdhere duur kar luuñ apne dil ke
use phir sāmne pā kar
talab kar luuñ ijāzat ruḳhsatī kī
zarā mohlat to de mujh ko
ukhaḌtī saañs merī
zara mohlat to de mujh ko
basa lun in nigahon mein
wo chehra
jo mah-e-kaamil sa raushan hai
wo chehra jis ne virane mein dil ke
khilae hain mohabbat ke gulistan
wo chehra jis ke dam se
abhi tak hun main zinda
zara mohlat to de mujh ko
main un zulfon ki KHushbu ko
chura kar mast aanchal se
hawa ke
main apni ruh ko kar lun moattar
zara mohlat to de mujh ko
main le kar raushni ki chand kirnen
un nigahon se
andhere dur kar lun apne dil ke
use phir samne pa kar
talab kar lun ijazat ruKHsati ki
zara mohlat to de mujh ko
ukhaDti sans meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.