aur jab
us ke qad par
ataichī kā sāmān rakkhā gayā
mom-battī hañsī
mom-battī kā hañsnā bajā hai
mujhe kostī hai
mire ghar meñ pichhle ka.ī saal se
ek āvāz
jis ke ka.ī rāste
dhund ke sard lahje meñ
uljhe hue haiñ
mire ghar ko
ik mom-battī kī ḳhvāhish
kahīñ jangaloñ kā na rasta dikhā de
safar
jab nayā kattha.ī suiT pahne
na.ī rail-gāḌī meñ baiThā
to us ko musāfir samajh kar
ka.ī log hañsne lage
aur jab un ke pyāloñ meñ rakkhī huī
chaa.e jamne lagī
tab unheñ yaad aayā
buzurgoñ ne marte samay
apnī āñkheñ zabāñ se chakhī thiiñ
magar mom-battī kī lambī zabāñ
rail-gāḌī meñ baiThī safar kar rahī thī
aur tabhī ik safar
un kī āñkheñ churā kar kahīñ le gayā thā
mire haath meñ ik ataichī hai lekin
ise kholnā mere bas meñ nahīñ hai
aur ab
mom-battī bhī hañsne lagī hai
aur jab
us ke qad par
ataichi ka saman rakkha gaya
mom-batti hansi
mom-batti ka hansna baja hai
mujhe kosti hai
mere ghar mein pichhle kai sal se
ek aawaz
jis ke kai raste
dhund ke sard lahje mein
uljhe hue hain
mere ghar ko
ek mom-batti ki KHwahish
kahin jangalon ka na rasta dikha de
safar
jab naya katthai suiT pahne
nai rail-gaDi mein baiTha
to us ko musafir samajh kar
kai log hansne lage
aur jab un ke pyalon mein rakkhi hui
chae jamne lagi
tab unhen yaad aaya
buzurgon ne marte samay
apni aankhen zaban se chakhi thin
magar mom-batti ki lambi zaban
rail-gaDi mein baiThi safar kar rahi thi
aur tabhi ek safar
un ki aankhen chura kar kahin le gaya tha
mere hath mein ek ataichi hai lekin
ise kholna mere bas mein nahin hai
aur ab
mom-batti bhi hansne lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.